kaun-o-makan mein yaro aabaad hain to hum hain
kaun-o-makāñ meñ yaaro ābād haiñ to ham haiñ
is arz aur samā kī buniyād haiñ to ham haiñ
vahdat se tā-ba-kasrat sab se zuhūr apnā
gar ek haiñ to ham haiñ haftād haiñ to ham haiñ
sab marz-būm-e-ālam hai jalva-gāh apnī
vīrān haiñ to ham haiñ ābād haiñ to ham haiñ
aqlīm-e-ḳhair-o-shar meñ hai hukm apnā jaarī
gar daad haiñ to ham haiñ be-dād haiñ to ham haiñ
is gulshan-e-jahāñ meñ sab hai bahār apnī
gar qumrī haiñ to ham haiñ shamshād haiñ to ham haiñ
haiñ jauhar apne yaaro har rañg meñ numāyāñ
gar teġh haiñ to ham haiñ jallād haiñ to ham haiñ
hai dast-gāh apnī sab shai meñ kār-farmā
gar fasd haiñ to ham haiñ fassād haiñ to ham haiñ
ye dārgīr-e-ālam sab apnī hālateñ haiñ
gar daam haiñ to ham haiñ sayyād haiñ to ham haiñ
ye raaz ham ne 'āsim' 'ḳhādim'-safī' se paayā
gar rushd haiñ to ham haiñ irshād haiñ to ham haiñ
kaun-o-makan mein yaro aabaad hain to hum hain
is arz aur sama ki buniyaad hain to hum hain
wahdat se ta-ba-kasrat sab se zuhur apna
gar ek hain to hum hain haftad hain to hum hain
sab marz-bum-e-alam hai jalwa-gah apni
viran hain to hum hain aabaad hain to hum hain
aqlim-e-KHair-o-shar mein hai hukm apna jari
gar dad hain to hum hain be-dad hain to hum hain
is gulshan-e-jahan mein sab hai bahaar apni
gar qumri hain to hum hain shamshad hain to hum hain
hain jauhar apne yaro har rang mein numayan
gar tegh hain to hum hain jallad hain to hum hain
hai dast-gah apni sab shai mein kar-farma
gar fasd hain to hum hain fassad hain to hum hain
ye dargir-e-alam sab apni haalaten hain
gar dam hain to hum hain sayyaad hain to hum hain
ye raaz hum ne 'asim' 'KHadim'-safi' se paya
gar rushd hain to hum hain irshad hain to hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.