justuju karte hi karte kho gaya
justujū karte hī karte kho gayā
un ko jab paayā to ḳhud gum ho gayā
kyā ḳhabar yārān-e-rafta kī mile
phir na aayā us galī meñ jo gayā
jab uThāyā us ne apnī bazm se
baḳht jaage paañv merā so gayā
mujh ko hai kho.e hue dil kī talāsh
aur vo kahte haiñ ki jaane do gayā
ḳhair hai kyuuñ is qadar betāb haiñ
hazrat-e-dil aap ko kyā ho gayā
vo mirī bālīñ pe aa kar phir ga.e
jaag kar merā muqaddar so gayā
aaj phir 'bedam' kī hālat ġhair hai
mai-kasho lenā zarā dekho gayā
justuju karte hi karte kho gaya
un ko jab paya to KHud gum ho gaya
kya KHabar yaran-e-rafta ki mile
phir na aaya us gali mein jo gaya
jab uThaya us ne apni bazm se
baKHt jage panw mera so gaya
mujh ko hai khoe hue dil ki talash
aur wo kahte hain ki jaane do gaya
KHair hai kyun is qadar betab hain
hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya
wo meri baalin pe aa kar phir gae
jag kar mera muqaddar so gaya
aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai
mai-kasho lena zara dekho gaya
- Book : jigar parah armagaan bedam shaah (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.