taraqqi ka wo dawa kar raha hai
taraqqī kā vo da.avā kar rahā hai
magar har shaḳhs faaqa kar rahā hai
vo dekhe hai makānāt-e-bulandī
vo ujḌe ghar se parda kar rahā hai
mafād-e-avvaliyyat chāhne meñ
vo insānoñ kā saudā kar rahā hai
barābar meñ kamī beshī ko rakh kar
taraqqī kā irāda kar rahā hai
duhā.ī de ke vo jamhūriyat kī
nizām-e-ḳhvāb rusvā kar rahā hai
hue hukkām ab saare luTere
dil-e-hālāt naala kar rahā hai
taraqqi ka wo dawa kar raha hai
magar har shaKHs faqa kar raha hai
wo dekhe hai makanat-e-bulandi
wo ujDe ghar se parda kar raha hai
mafad-e-awwaliyyat chahne mein
wo insanon ka sauda kar raha hai
barabar mein kami beshi ko rakh kar
taraqqi ka irada kar raha hai
duhai de ke wo jamhuriyat ki
nizam-e-KHwab ruswa kar raha hai
hue hukkaam ab sare luTere
dil-e-haalat nala kar raha hai
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 32)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.