sath den log phir bhi tanhai
saath deñ log phir bhī tanhā.ī
ya.anī maiñ aur merī tanhā.ī
mujh ko ḳhud se savāl karne haiñ
mujh ko de do na thoḌī tanhā.ī
tū akelā kahāñ hai maiñ huuñ nā
mujh se aa kar ke bolī tanhā.ī
maiñ bhī maujūd ab nahīñ ḳhud meñ
bhar chukī mujh meñ itnī tanhā.ī
kis ne kī haiñ ye botaleñ ḳhālī
pī gayā kaun apnī tanhā.ī
sath den log phir bhi tanhai
yani main aur meri tanhai
mujh ko KHud se sawal karne hain
mujh ko de do na thoDi tanhai
tu akela kahan hai main hun na
mujh se aa kar ke boli tanhai
main bhi maujud ab nahin KHud mein
bhar chuki mujh mein itni tanhai
kis ne ki hain ye botalen KHali
pi gaya kaun apni tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.