tanhā safar hai aur hai yādoñ kī qabr-gāh
Thahre hue samāñ meñ Dare jhīñguroñ kī aah
maddham lapaktī lau se chamak uThtā āsmāñ
aise meñ dard-e-hijr kī halkī sī ik nigāh
soz-e-darūñ meñ mast huuñ phir bhī koī kamīñ
hai chāhtī zarā kī abhī aur huuñ tabāh
mujh se ḳhalā meñ baat bhī karnā nahīñ rafīq
aise ḳhalā meñ baat bhī karnā hai ik gunāh
sab kā ḳhudā hai aur miyāñ merā koī aur
mere ḳhudā kī zulf se raushan hai shab-e-māh
tanha safar hai aur hai yaadon ki qabr-gah
Thahre hue saman mein Dare jhinguron ki aah
maddham lapakti lau se chamak uThta aasman
aise mein dard-e-hijr ki halki si ek nigah
soz-e-darun mein mast hun phir bhi koi kamin
hai chahti zara ki abhi aur hun tabah
mujh se KHala mein baat bhi karna nahin rafiq
aise KHala mein baat bhi karna hai ek gunah
sab ka KHuda hai aur miyan mera koi aur
mere KHuda ki zulf se raushan hai shab-e-mah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.