tamannaen jawan thin ishq farmane se pahle
tamannā.eñ javāñ thiiñ ishq farmāne se pahle
shagufta the ye saare phuul kumhlāne se pahle
hifāzat kī koī sūrat nikal aatī hai aksar
maiñ tum ko DhūñD hī letā huuñ kho jaane se pahle
bhalā vo log kyā jāneñ safar kī lazzatoñ ko
jinheñ manzil milī ho Thokareñ khāne se pahle
mirī vahshat mire sahrā meñ un ko DhūñDhtī hai
jo the do-chār chehre jaane pahchāne se pahle
junūñ kī manzileñ āsāñ nahīñ ye soch lenā
ka.ī gulshan paḌeñge tum ko vīrāne se pahle
tamannaen jawan thin ishq farmane se pahle
shagufta the ye sare phul kumhlane se pahle
hifazat ki koi surat nikal aati hai aksar
main tum ko DhunD hi leta hun kho jaane se pahle
bhala wo log kya jaanen safar ki lazzaton ko
jinhen manzil mili ho Thokaren khane se pahle
meri wahshat mere sahra mein un ko DhunDhti hai
jo the do-chaar chehre jaane pahchane se pahle
junun ki manzilen aasan nahin ye soch lena
kai gulshan paDenge tum ko virane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.