Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

Ahmad Faraz

sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    sukūt-e-shām-e-ḳhizāñ hai qarīb aa jaao

    baḌā udaas samāñ hai qarīb aa jaao

    na tum ko ḳhud pe bharosa na ham ko zom-e-vafā

    na e'tibār-e-jahāñ hai qarīb aa jaao

    rah-e-talab meñ kisī ko kisī dhyān nahīñ

    hujūm-e-ham-safarāñ hai qarīb aa jaao

    jo dasht-e-ishq meñ bichhḌe vo umr bhar na mile

    yahāñ dhuāñ dhuāñ hai qarīb aa jaao

    ye āñdhiyāñ haiñ to shahr-e-vafā ḳhair nahīñ

    zamāna ḳhāk-fishāñ hai qarīb aa jaao

    faqīh-e-shahr majlis nahīñ ki duur raho

    ye bazm-e-pīr-e-muġhāñ hai qarīb aa jaao

    'farāz' duur ke sūraj ġhurūb samjhe ga.e

    ye daur-e-kam-nazarāñ hai qarīb aa jaao

    sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao

    baDa udas saman hai qarib aa jao

    na tum ko KHud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa

    na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao

    rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin

    hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao

    jo dasht-e-ishq mein bichhDe wo umr bhar na mile

    yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao

    ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki KHair nahin

    zamana KHak-fishan hai qarib aa jao

    faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho

    ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao

    'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae

    ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sukut-e-sham-e-KHizan hai qarib aa jao Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now