tamam umr tera intizar humne kiya
tamām umr tirā intizār ham ne kiyā
is intizār meñ kis kis se pyaar ham ne kiyā
talāsh-e-dost ko ik umr chāhiye ai dost
ki ek umr tirā intizār ham ne kiyā
tere ḳhayāl meñ dil shādmāñ rahā barsoñ
tire huzūr use sogvār ham ne kiyā
ye tishnagī hai ke un se qarīb rah kar bhī
'hafīz' yaad unheñ baar baar ham ne kiyā
tamam umr tera intizar hum ne kiya
is intizar mein kis kis se pyar hum ne kiya
talash-e-dost ko ek umr chahiye ai dost
ki ek umr tera intizar hum ne kiya
tere KHayal mein dil shadman raha barson
tere huzur use sogwar hum ne kiya
ye tishnagi hai ke un se qarib rah kar bhi
'hafiz' yaad unhen bar bar hum ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.