talash jis ko main karta phira KHarabon mein
talāsh jis ko maiñ kartā phirā ḳharāboñ meñ
milā vo shaḳhs mujhe raat mere ḳhvāboñ meñ
maiñ us ko ġhurfa-e-dil meñ bhalā chhupā.ūñ kyā
jo lafz lafz hai bikhrā huā kitāboñ meñ
dam-e-visāl tirī aañch is tarah aa.ī
ki jaise aag sulagne lage gulāboñ meñ
vo aañkh jis se ġhazal merī iktisāb huī
vo aañkh jāgtī rahtī hai mere ḳhvāboñ meñ
mahak jo uThtī hai 'anvar-sadīd' us gul se
kahāñ vo taaza mahak kāġhzī gulāboñ meñ
talash jis ko main karta phira KHarabon mein
mila wo shaKHs mujhe raat mere KHwabon mein
main us ko ghurfa-e-dil mein bhala chhupaun kya
jo lafz lafz hai bikhra hua kitabon mein
dam-e-visal teri aanch is tarah aai
ki jaise aag sulagne lage gulabon mein
wo aankh jis se ghazal meri iktisab hui
wo aankh jagti rahti hai mere KHwabon mein
mahak jo uThti hai 'anwar-sadid' us gul se
kahan wo taza mahak kaghzi gulabon mein
- Book : Prinda Safar men (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.