tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge
tajdīd-e-rivāyāt-e-kuhan karte raheñge
sar mārka-e-dār-o-rasan karte raheñge
vo daur-e-ḳhizāñ ho ki bahāroñ kā zamāna
ham yaad tujhe jān-e-chaman karte raheñge
rangīn tire zikr se ham she'r o suḳhan ko
ai jān-e-suḳhan markaz-e-fan karte raheñge
is ābla-pā.ī pe bhī ham terī talab meñ
tai jāda-e-ālām-o-mehan karte raheñge
duniyā hameñ dīvāna samajhtī hai to samjhe
ham 'aam ġham-e-dil kā chalan karte raheñge
jalte haiñ jise sun ke añdhere ke parastār
ham 'aam vahī tarz-e-suḳhan karte raheñge
gulshan meñ na ham hoñge to phir sog hamārā
gul-pairahan o ġhuncha-dahan karte raheñge
'zāhid' be-tāqāzā-e-vafā tarah-e-yaqīn par
ham koshish-e-tāmīr-e-vatan karte raheñge
tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge
sar marka-e-dar-o-rasan karte rahenge
wo daur-e-KHizan ho ki bahaaron ka zamana
hum yaad tujhe jaan-e-chaman karte rahenge
rangin tere zikr se hum she'r o suKHan ko
ai jaan-e-suKHan markaz-e-fan karte rahenge
is aabla-pai pe bhi hum teri talab mein
tai jada-e-alam-o-mehan karte rahenge
duniya hamein diwana samajhti hai to samjhe
hum 'am gham-e-dil ka chalan karte rahenge
jalte hain jise sun ke andhere ke parastar
hum 'am wahi tarz-e-suKHan karte rahenge
gulshan mein na hum honge to phir sog hamara
gul-pairahan o ghuncha-dahan karte rahenge
'zahid' be-taqaza-e-wafa tarah-e-yaqin par
hum koshish-e-tamir-e-watan karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.