tab usne meri chhanw ka ehsan liya hai
tab us ne mirī chhāñv kā ehsān liyā hai
jab mujh ko parindoñ ne shajar maan liyā hai
Dartā huuñ zamīñ is kā burā maan na jaa.e
thoḌā sā falak sar pe agar taan liyā hai
āvāra-mizājī kī tasallī nahīñ hotī
maiñ ne to tirā saarā jahāñ chhān liyā hai
bas hukm milā aur nikal aa.e vahāñ se
chalte hue ujlat meñ hī sāmān liyā hai
ye ziist to 'gauhar' mujhe virse meñ milī thī
duniyā ne magar is kā bhī tāvān liyā hai
tab us ne meri chhanw ka ehsan liya hai
jab mujh ko parindon ne shajar man liya hai
Darta hun zamin is ka bura man na jae
thoDa sa falak sar pe agar tan liya hai
aawara-mizaji ki tasalli nahin hoti
main ne to tera sara jahan chhan liya hai
bas hukm mila aur nikal aae wahan se
chalte hue ujlat mein hi saman liya hai
ye zist to 'gauhar' mujhe wirse mein mili thi
duniya ne magar is ka bhi tawan liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.