suraj ko nikalna hai so niklega dubara
sūraj ko nikalnā hai so niklegā dubāra
ab dekhiye kab Dūbtā hai sub.h kā taara
maġhrib meñ jo Duube use mashriq hī nikāle
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ mashiyyat kā ishāra
paḌhtā huuñ jab us ko to sanā kartā huuñ rab kī
insān kā chehra hai ki qur.ān kā paara
jī haar ke tum paar na kar paao nadī bhī
vaise to samundar kā bhī hotā hai kināra
jannat milī jhūToñ ko agar jhuuT ke badle
sachchoñ ko sazā meñ hai jahannam bhī gavārā
ye kaun sā insāf hai ai arsh-nashīno
bijlī jo tumhārī hai to ḳhirman hai hamārā
mustaqbil-e-insān ne e'lān kiyā hai
ā.inda se be-tāj rahegā sar-e-dārā
suraj ko nikalna hai so niklega dubara
ab dekhiye kab Dubta hai subh ka tara
maghrib mein jo Dube use mashriq hi nikale
main KHub samajhta hun mashiyyat ka ishaara
paDhta hun jab us ko to sana karta hun rab ki
insan ka chehra hai ki quran ka para
ji haar ke tum par na kar pao nadi bhi
waise to samundar ka bhi hota hai kinara
jannat mili jhuTon ko agar jhuT ke badle
sachchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara
ye kaun sa insaf hai ai arsh-nashino
bijli jo tumhaari hai to KHirman hai hamara
mustaqbil-e-insan ne e'lan kiya hai
aainda se be-taj rahega sar-e-dara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.