sune siyah shahr pe manzar-pazir main
suune siyāh shahr pe manzar-pazīr maiñ
āñkheñ qalīl hotī huī aur kasīr maiñ
masjid kī sīḌhiyoñ pe gadāgar ḳhudā kā naam
masjid ke bām-o-dar pe amiir o kabīr maiñ
dar-asl is jahāñ ko zarūrat nahīñ mirī
har-chand is jahāñ ke liye nā-guzīr maiñ
maiñ bhī yahāñ huuñ is kī shahādat meñ kis ko lā.ūñ
mushkil ye hai ki aap huuñ apnī nazīr maiñ
mujh tak hai mere dukh ke tasavvuf kā silsila
ik zaḳhm maiñ murīd to ik zaḳhm piir maiñ
har zaḳhm qāfile kī guzargāh merā dil
rū-e-zamīñ pe ek lahū kī lakīr maiñ
sune siyah shahr pe manzar-pazir main
aankhen qalil hoti hui aur kasir main
masjid ki siDhiyon pe gadagar KHuda ka nam
masjid ke baam-o-dar pe amir o kabir main
dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri
har-chand is jahan ke liye na-guzir main
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun
mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
mujh tak hai mere dukh ke tasawwuf ka silsila
ek zaKHm main murid to ek zaKHm pir main
har zaKHm qafile ki guzargah mera dil
ru-e-zamin pe ek lahu ki lakir main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.