suni hai chap bahut waqt ke guzarne ki
sunī hai chaap bahut vaqt ke guzarne kī
magar ye zaḳhm ki hasrat hai jis ke bharne kī
hamāre sar pe to ye āsmān TuuT paḌā
ghaḌī jab aa.ī sitāroñ se maañg bharne kī
girah meñ daam to rakhte haiñ zahr khāne ko
ye aur baat ki fursat nahīñ hai marne kī
bahut malāl hai tujh ko na dekh paane kā
bahut ḳhushī hai tirī raah se guzarne kī
batāo tum se kahāñ rābta kiyā jaa.e
kabhī jo tum se zarūrat ho baat karne kī
suni hai chap bahut waqt ke guzarne ki
magar ye zaKHm ki hasrat hai jis ke bharne ki
hamare sar pe to ye aasman TuT paDa
ghaDi jab aai sitaron se mang bharne ki
girah mein dam to rakhte hain zahr khane ko
ye aur baat ki fursat nahin hai marne ki
bahut malal hai tujh ko na dekh pane ka
bahut KHushi hai teri rah se guzarne ki
batao tum se kahan rabta kiya jae
kabhi jo tum se zarurat ho baat karne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.