subh tak main sochta hun sham se
sub.h tak maiñ sochtā huuñ shaam se
jī rahā hai kaun mere naam se
shahr meñ sach boltā phirtā huuñ maiñ
log ḳhā.if haiñ mire anjām se
raat bhar jāgegā chaukī-dār ek
aur sab so jā.eñge ārām se
sau baras kā ho gayā merā mazār
ab navāzā jā.ūñ gā in.aam se
saath lā.ūñgā thakan be-kār kī
ghar se bāhar jā rahā huuñ kaam se
naam le us kā safar āġhāz kar
duur rakh dil ko zarā auhām se
zindagī kī dauḌ meñ pīchhe na thā
rah gayā vo sirf do ik gaam se
subh tak main sochta hun sham se
ji raha hai kaun mere nam se
shahr mein sach bolta phirta hun main
log KHaif hain mere anjam se
raat bhar jagega chauki-dar ek
aur sab so jaenge aaram se
sau baras ka ho gaya mera mazar
ab nawaza jaun ga inam se
sath launga thakan be-kar ki
ghar se bahar ja raha hun kaam se
nam le us ka safar aaghaz kar
dur rakh dil ko zara auham se
zindagi ki dauD mein pichhe na tha
rah gaya wo sirf do ek gam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.