subh ka bhed mila kya hum ko
sub.h kā bhed milā kyā ham ko
lag gayā raat kā dhaḌkā ham ko
shauq-e-nazzārā kā parda uThThā
nazar aane lagī duniyā ham ko
kashtiyāñ TuuT ga.ī haiñ saarī
ab liye phirtā hai dariyā ham ko
bhiiḌ meñ kho ga.e āḳhir ham bhī
na milā jab koī rasta ham ko
talḳhī-e-ġham kā mudāvā ma.alūm
paḌ gayā zahr kā chaskā ham ko
tere ġham se to sukūñ miltā hai
apne sho'loñ ne jalāyā ham ko
ghar ko yuuñ dekh rahe haiñ jaise
aaj hī ghar nazar aayā ham ko
ham ki sho.ala bhī haiñ aur shabnam bhī
tū ne kis rang meñ dekhā ham ko
jalva-e-lālā-o-gul hai dīvār
kabhī milte sar-e-sahrā ham ko
le uḌī dil ko nasīm-e-saharī
bū-e-gul kar ga.ī tanhā ham ko
sair-e-gulshan ne kiyā āvāra
lag gayā rog sabā kā ham ko
yaad aa.ī haiñ barahna shāḳheñ
thaam le ai gul-e-tāza ham ko
le gayā saath uḌā kar 'bāqī'
ek sūkhā huā pattā ham ko
subh ka bhed mila kya hum ko
lag gaya raat ka dhaDka hum ko
shauq-e-nazzara ka parda uThTha
nazar aane lagi duniya hum ko
kashtiyan TuT gai hain sari
ab liye phirta hai dariya hum ko
bhiD mein kho gae aaKHir hum bhi
na mila jab koi rasta hum ko
talKHi-e-gham ka mudawa malum
paD gaya zahr ka chaska hum ko
tere gham se to sukun milta hai
apne sho'lon ne jalaya hum ko
ghar ko yun dekh rahe hain jaise
aaj hi ghar nazar aaya hum ko
hum ki shoala bhi hain aur shabnam bhi
tu ne kis rang mein dekha hum ko
jalwa-e-lala-o-gul hai diwar
kabhi milte sar-e-sahra hum ko
le uDi dil ko nasim-e-sahari
bu-e-gul kar gai tanha hum ko
sair-e-gulshan ne kiya aawara
lag gaya rog saba ka hum ko
yaad aai hain barahna shaKHen
tham le ai gul-e-taza hum ko
le gaya sath uDa kar 'baqi'
ek sukha hua patta hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.