subh hoti hai to daftar mein badal jata hai
sub.h hotī hai to daftar meñ badal jaatā hai
ye makāñ raat ko phir ghar meñ badal jaatā hai
ab to har shahr hai ik shahr-e-tilismī ki jahāñ
jo bhī jaatā hai vo patthar meñ badal jaatā hai
ek lamha bhī Thahartā nahīñ lamha koī
pesh-e-manzar pas-e-manzar meñ badal jaatā hai
naqsh ubhartā hai ummīdoñ kā falak par koī
aur phir dhund kī chādar meñ badal jaatā hai
band ho jaatā hai kuuze meñ kabhī dariyā bhī
aur kabhī qatra samundar meñ badal jaatā hai
apne mafhūm pe paḌtī nazar jab us kī
lafz achānak but-e-shashdar meñ badal jaatā hai
subh hoti hai to daftar mein badal jata hai
ye makan raat ko phir ghar mein badal jata hai
ab to har shahr hai ek shahr-e-tilismi ki jahan
jo bhi jata hai wo patthar mein badal jata hai
ek lamha bhi Thaharta nahin lamha koi
pesh-e-manzar pas-e-manzar mein badal jata hai
naqsh ubharta hai ummidon ka falak par koi
aur phir dhund ki chadar mein badal jata hai
band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai
apne mafhum pe paDti nazar jab us ki
lafz achanak but-e-shashdar mein badal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.