subh-dam bhi yun fasurda ho gaya
sub.h-dam bhī yuuñ fasurda ho gayā
ai dil-e-nāzuk tujhe kyā ho gayā
sīna-e-barbat se jo sho.ala uThā
ġham-zadoñ ke dil kā naġhma ho gayā
shukriya ai gardish-e-jām-e-sharāb
maiñ bharī mahfil meñ tanhā ho gayā
raat dil ko thā sahar kā intizār
ab ye ġham hai kyuuñ saverā ho gayā
pūchhiye us se ġham-e-sāz-e-ḳhulūs
chaar hī din meñ jo rusvā ho gayā
bujh ga.ī kuchh is tarah sham-e-'salām'
jaise ik bīmār achchhā ho gayā
subh-dam bhi yun fasurda ho gaya
ai dil-e-nazuk tujhe kya ho gaya
sina-e-barbat se jo shoala uTha
gham-zadon ke dil ka naghma ho gaya
shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahfil mein tanha ho gaya
raat dil ko tha sahar ka intizar
ab ye gham hai kyun sawera ho gaya
puchhiye us se gham-e-saz-e-KHulus
chaar hi din mein jo ruswa ho gaya
bujh gai kuchh is tarah sham-e-'salam'
jaise ek bimar achchha ho gaya
- Book : Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.