sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain
sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
sote haiñ vo ā.īna le kar ḳhvāboñ meñ baal banāte haiñ
saada se parinde kī ḳhātir kyā reshmī jaal banāte haiñ
ummīd kī sūkhtī shāḳhoñ se saare patte jhaḌ jā.eñge
is ḳhauf se apnī tasvīreñ ham sāl-ba-sāl banāte haiñ
zaḳhmoñ ko chhupāne kī ḳhātir kapḌe hī badalnā chhoḌ diyā
pūchho to sahī ham kis ke liye apnā ye haal banāte haiñ
vo boltī āñkheñ milte hī jhuk jaatī haiñ ḳhāmoshī se
ham un ke javāb se phir apnā ik aur savāl banāte haiñ
sote hain wo aaina le kar KHwabon mein baal banate hain
sada se parinde ki KHatir kya reshmi jal banate hain
ummid ki sukhti shaKHon se sare patte jhaD jaenge
is KHauf se apni taswiren hum sal-ba-sal banate hain
zaKHmon ko chhupane ki KHatir kapDe hi badalna chhoD diya
puchho to sahi hum kis ke liye apna ye haal banate hain
wo bolti aankhen milte hi jhuk jati hain KHamoshi se
hum un ke jawab se phir apna ek aur sawal banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.