zamin pe insan KHuda bana tha waba se pahle
zamin pe insan KHuda bana tha waba se pahle
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
zamīñ pe insāñ ḳhudā banā thā vabā se pahle
vo ḳhud ko sab kuchh samajh rahā thā vabā se pahle
palak jhapakte hī saarā manzar badal gayā hai
yahāñ to mela lagā huā thā vabā se pahle
tum aaj hāthoñ se dūriyāñ nāpte ho socho
diloñ meñ kis darja fāsla thā vabā se pahle
ajiib sī dauḌ meñ sab aise lage hue the
makāñ makīnoñ ko DhūñDhtā thā vabā se pahle
ham aaj ḳhalvat meñ is zamāne ko ro rahe haiñ
vo jis se sab ko bahut gila thā vabā se pahle
na jaane kyoñ aa gayā duā meñ mirī vo bachcha
saḌak pe jo phuul bechtā thā vabā se pahle
duā ko uTThe haiñ haath 'amabar' to dhyān aayā
ye āsmāñ surḳh ho chukā thā vabā se pahle
zamin pe insan KHuda bana tha waba se pahle
wo KHud ko sab kuchh samajh raha tha waba se pahle
palak jhapakte hi sara manzar badal gaya hai
yahan to mela laga hua tha waba se pahle
tum aaj hathon se duriyan napte ho socho
dilon mein kis darja fasla tha waba se pahle
ajib si dauD mein sab aise lage hue the
makan makinon ko DhunDhta tha waba se pahle
hum aaj KHalwat mein is zamane ko ro rahe hain
wo jis se sab ko bahut gila tha waba se pahle
na jaane kyon aa gaya dua mein meri wo bachcha
saDak pe jo phul bechta tha waba se pahle
dua ko uTThe hain hath 'amabar' to dhyan aaya
ye aasman surKH ho chuka tha waba se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.