hansne rone se gae rabt baDhane se gae
hañsne rone se ga.e rabt baḌhāne se ga.e
aisī uftād paḌī saare zamāne se ga.e
vo ta.affun hai ki is baar zamīñ ke baasī
apne sajdoñ se ga.e rizq kamāne se ga.e
dil to pahle hī judā the yahāñ bastī vaalo
kyā qayāmat hai ki ab haath milāne se ga.e
is qadar qaht-e-vafā hai mire atrāf ki ab
yaar yāroñ ko bhī ahvāl sunāne se ga.e
apnā ye haal ki haiñ jaan bachāne meñ magan
aur ajdād jo haiñ jaan laḌāne meñ ga.e
tujh ko kyā ilm ki ham terī mohabbat ke tufail
saarī duniyā se kaTe saare zamāne se ga.e
hansne rone se gae rabt baDhane se gae
aisi uftad paDi sare zamane se gae
wo taffun hai ki is bar zamin ke basi
apne sajdon se gae rizq kamane se gae
dil to pahle hi juda the yahan basti walo
kya qayamat hai ki ab hath milane se gae
is qadar qaht-e-wafa hai mere atraf ki ab
yar yaron ko bhi ahwal sunane se gae
apna ye haal ki hain jaan bachane mein magan
aur ajdad jo hain jaan laDane mein gae
tujh ko kya ilm ki hum teri mohabbat ke tufail
sari duniya se kaTe sare zamane se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.