jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin
jaan kā āzār hai bīmārī-e-duniyā nahīñ
zaat tak mahdūd ho jaa.eñ to kuchh ḳhatrā nahīñ
ab hifāzat jitnī hai mahbūs ho jaane meñ hai
ḳhud ke bāhar ghūmne phirne kā ab mauqa nahīñ
us se milnā ābshāroñ se guzarnā thā magar
ḳhauf kā vo kaun sā tūfāñ thā jo aayā nahīñ
ab ke bichhḌe kab mileñge ab kī baar ik ye savāl
ham ne bhī pūchhā nahīñ us ne bhī batlāyā nahīñ
mo'atabar kitnā bhī ho har vāsta mashkūk hai
jo tasavvur meñ likhā vo ḳhat bhī pahuñchāyā nahīñ
mujh meñ ik bachcha jo muzmar hai bahut masrūr hai
in dinoñ duniyā se us kā mutlaqan rishtā nahīñ
mas.ala koī bhī ho 'arshad' muhīt-e-ishq hai
jo ġhazal kā rāh-rau ho raah se haTtā nahīñ
jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin
zat tak mahdud ho jaen to kuchh KHatra nahin
ab hifazat jitni hai mahbus ho jaane mein hai
KHud ke bahar ghumne phirne ka ab mauqa nahin
us se milna aabshaaron se guzarna tha magar
KHauf ka wo kaun sa tufan tha jo aaya nahin
ab ke bichhDe kab milenge ab ki bar ek ye sawal
hum ne bhi puchha nahin us ne bhi batlaya nahin
mo'atabar kitna bhi ho har wasta mashkuk hai
jo tasawwur mein likha wo KHat bhi pahunchaya nahin
mujh mein ek bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai
in dinon duniya se us ka mutlaqan rishta nahin
masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai
jo ghazal ka rah-rau ho rah se haTta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.