sitam karo na karo iKHtiyar baqi hai
sitam karo na karo iḳhtiyār baaqī hai
jo ham nahīñ to hamārā mazār baaqī hai
ga.ī bahār magar apnī be-ḳhudī hai vahī
samajh rahā huuñ ki ab tak bahār baaqī hai
hazār marhala-e-intizār tai bhī hue
hazār marhala-e-intizār baaqī hai
shikast-e-tauba hai aisī savāb meñ dāḳhil
abhī se tauba 'mubārak' bahār baaqī hai
sitam karo na karo iKHtiyar baqi hai
jo hum nahin to hamara mazar baqi hai
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
hazar marhala-e-intizar tai bhi hue
hazar marhala-e-intizar baqi hai
shikast-e-tauba hai aisi sawab mein daKHil
abhi se tauba 'mubarak' bahaar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.