silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin
silsila ab bhī ḳhvāboñ kā TuuTā nahīñ
kuuch kar jaa.eñ kab kuchh bharosā nahīñ
haiñ fasīloñ se uljhe hue sar-phire
duur tak koī shahr-e-tamannā nahīñ
shaam se hī gharoñ meñ paḌīñ kunDiyāñ
chāñd is shahr meñ kyuuñ nikaltā nahīñ
aag lagne kī ḳhabreñ to pahuñchīñ magar
koī hairat nahīñ koī chauñkā nahīñ
chhīn kar mujh se le jaa.e merā badan
mo'tabar itnā koī añdherā nahīñ
kyā yahī milte rahne kā in.aam hai
ek khiḌkī nahīñ ik jharokā nahīñ
ek manzar meñ lipTe badan ke sivā
sard rātoñ meñ kuchh aur dikhtā nahīñ
tez ho jaa.eñ is kā to imkān hai
āñdhiyāñ ab rukeñ aisā lagtā nahīñ
silsila ab bhi KHwabon ka TuTa nahin
kuch kar jaen kab kuchh bharosa nahin
hain fasilon se uljhe hue sar-phire
dur tak koi shahr-e-tamanna nahin
sham se hi gharon mein paDin kunDiyan
chand is shahr mein kyun nikalta nahin
aag lagne ki KHabren to pahunchin magar
koi hairat nahin koi chaunka nahin
chhin kar mujh se le jae mera badan
mo'tabar itna koi andhera nahin
kya yahi milte rahne ka inam hai
ek khiDki nahin ek jharoka nahin
ek manzar mein lipTe badan ke siwa
sard raaton mein kuchh aur dikhta nahin
tez ho jaen is ka to imkan hai
aandhiyan ab ruken aisa lagta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.