sikha diya hai zamane ne be-basar rahna
sikhā diyā hai zamāne ne be-basar rahnā
ḳhabar kī aañch meñ jal kar bhī be-ḳhabar rahnā
sahar kī os se kahnā ki ek pal to ruke
ki nā-pasand hai ham ko bhī ḳhaak par rahnā
tamām umr hī guzrī hai dastakeñ sunte
hameñ to raas na aayā ḳhud apne ghar rahnā
vo ḳhush-kalām hai aisā ki us ke paas hameñ
tavīl rahnā bhī lagtā hai muḳhtasar rahnā
safar aziiz havā ko magar aziiz hameñ
misāl-e-nik.hat-e-gul us kā ham-safar rahnā
shajar pe phuul to aate rahe bahut lekin
samajh meñ aa na sakā us kā be-samar rahnā
ajiib tarz-e-takallum hai us kī āñkhoñ kā
ḳhamosh rah ke bhī lafzoñ kī dhaar par rahnā
varaq varaq na sahī umr-e-rā.egāñ merī
havā ke saath magar tum na umr bhar rahnā
zarā sī Thes lagī aur ghar ko oḌh liyā
kahāñ gayā vo tumhārā nagar nagar rahnā
sikha diya hai zamane ne be-basar rahna
KHabar ki aanch mein jal kar bhi be-KHabar rahna
sahar ki os se kahna ki ek pal to ruke
ki na-pasand hai hum ko bhi KHak par rahna
tamam umr hi guzri hai dastaken sunte
hamein to ras na aaya KHud apne ghar rahna
wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
safar aziz hawa ko magar aziz hamein
misal-e-nikhat-e-gul us ka ham-safar rahna
shajar pe phul to aate rahe bahut lekin
samajh mein aa na saka us ka be-samar rahna
ajib tarz-e-takallum hai us ki aankhon ka
KHamosh rah ke bhi lafzon ki dhaar par rahna
waraq waraq na sahi umr-e-raegan meri
hawa ke sath magar tum na umr bhar rahna
zara si Thes lagi aur ghar ko oDh liya
kahan gaya wo tumhaara nagar nagar rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.