shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki
shoḳhī se kashmakash nahīñ achchhī hijāb kī
khul jā.egī girah tire band-e-naqāb kī
shīshe khule nahīñ abhī sāġhar chale nahīñ
uḌne lagī parī kī tarah bū sharāb kī
do din kī zindagī pe ilāhī ye ġhaflateñ
āñkheñ to haiñ khulī huī hālat hai ḳhvāb kī
hote hī sub.h-e-vasl kī shab dekhtā huuñ kyā
talvār ban ga.ī hai kiran āftāb kī
aatā nahīñ kasī pe dil-e-bad-gumāñ 'azīz'
jamtī nahīñ kasī pe nazar intiḳhāb kī
shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki
khul jaegi girah tere band-e-naqab ki
shishe khule nahin abhi saghar chale nahin
uDne lagi pari ki tarah bu sharab ki
do din ki zindagi pe ilahi ye ghaflaten
aankhen to hain khuli hui haalat hai KHwab ki
hote hi subh-e-wasl ki shab dekhta hun kya
talwar ban gai hai kiran aaftab ki
aata nahin kasi pe dil-e-bad-guman 'aziz'
jamti nahin kasi pe nazar intiKHab ki
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 266)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.