rañg hai ai sāqī-e-sarshār qiasar-bāġh meñ
phuul piite haiñ tire mai-ḳhvār qiasar-bāġh meñ
dekh kar rañgīñ tirā ruḳhsār qaisar-bāġh meñ
gul se bulbul ho ga.e bezār qaisar-bāġh meñ
saath hai ik ġhairat-e-gulzār qaisar-bāġh meñ
bulbuloñ ko de rahe haiñ ḳhaar qaisar-bāġh meñ
bāteñ bulbul ko sunā shaidā-e-ruḳh gul ko banā
kabk ko chal kar dikhā raftār qiasar-bāġh meñ
sūrat-e-idrīs jannat se nikalte haiñ kahīñ
ab to laayā tāla-e-bedār qaisar-bāġh meñ
shāhid-e-gul motiyoñ meñ lad rahe haiñ āj-kal
abr-e-tar rahtā hai gauhar-bār qaisar-bāġh meñ
bulbuleñ gul se ḳhafā hoñ qumriyāñ shamshād se
sair ho chaliye jo aap ai yaar qaisar-bāġh meñ
kis tarah hūroñ ko lā kar ḳhuld se dikhlā.iye
kyā bahār aa.ī hai ab ke baar qaisar-bāġh meñ
dekh paa.eñ mere siine ke agar gul-hā-e-dāġh
bulbuleñ hoñgī gale kā haar qaisar-bāġh meñ
mausam-e-gul meñ yahīñ josh-e-junūñ kī hai bahār
rañg lā kar ā.eñge sau baar qaisar-bāġh meñ
ai sanam allāh re jalva tirā hairat-fazā
but bane haiñ sāhib-e-zunnār qaisar-bāġh meñ
vo maraz kho.e tabīboñ kī bhī āñkheñ khul ga.iiñ
hai masīhā nargis-e-bīmār qaisar-bāġh meñ
ḳhuld meñ aa kar sharāb-e-ḳhuld se bhī ijtināb
jām-e-mai se zāhidā inkār qaisar-bāġh meñ
qāmat-e-bālā kā rutba hai do-bālā sarv se
turra hai sumbul pe zulf-e-yār qaisar-bāġh meñ
daur meñ sultān-e-ālam kī haiñ ye kaifiyyateñ
ġhairat-e-jam hai har ik mai-ḳhvār qaisar-bāġh meñ
dekh kar rū-e-musaffā yaar kā hairat huī
aa.ine haiñ pusht-bar-dīvār qiasar-bāġh meñ
hai pa.e abr-e-bahārī ye mahall-e-ābrū
aa.e zer-e-sāya-e-dīvār qaisar-bāġh meñ
dekh kar tere ruḳh-e-rañgīñ ko ai rashk-e-bahār
gul hue haiñ bāġhbāñ par baar qaisar-bāġh meñ
jā.iye vaqt-e-masīhā.ī hai ai rūh-e-ravāñ
muntazir hai nargis-e-bīmār qiasar-bāġh meñ
tujh se aur gul se huī bahs-e-jamāl ai ġhuncha-lab
mujh se bulbul se huī takrār qaisar-bāġh meñ
nik.hat-e-gul se 'sabā' ham mast rahte haiñ mudām
bāda-e-gul-gūñ nahīñ darkār qiasar-bāġh meñ
rang hai ai saqi-e-sarshaar qiasar-bagh mein
phul pite hain tere mai-KHwar qiasar-bagh mein
dekh kar rangin tera ruKHsar qaisar-bagh mein
gul se bulbul ho gae bezar qaisar-bagh mein
sath hai ek ghairat-e-gulzar qaisar-bagh mein
bulbulon ko de rahe hain KHar qaisar-bagh mein
baaten bulbul ko suna shaida-e-ruKH gul ko bana
kabk ko chal kar dikha raftar qiasar-bagh mein
surat-e-idris jannat se nikalte hain kahin
ab to laya tala-e-bedar qaisar-bagh mein
shahid-e-gul motiyon mein lad rahe hain aaj-kal
abr-e-tar rahta hai gauhar-bar qaisar-bagh mein
bulbulen gul se KHafa hon qumriyan shamshad se
sair ho chaliye jo aap ai yar qaisar-bagh mein
kis tarah huron ko la kar KHuld se dikhlaiye
kya bahaar aai hai ab ke bar qaisar-bagh mein
dekh paen mere sine ke agar gul-ha-e-dagh
bulbulen hongi gale ka haar qaisar-bagh mein
mausam-e-gul mein yahin josh-e-junun ki hai bahaar
rang la kar aaenge sau bar qaisar-bagh mein
ai sanam allah re jalwa tera hairat-faza
but bane hain sahib-e-zunnar qaisar-bagh mein
wo maraz khoe tabibon ki bhi aankhen khul gain
hai masiha nargis-e-bimar qaisar-bagh mein
KHuld mein aa kar sharab-e-KHuld se bhi ijtinab
jam-e-mai se zahida inkar qaisar-bagh mein
qamat-e-baala ka rutba hai do-baala sarw se
turra hai sumbul pe zulf-e-yar qaisar-bagh mein
daur mein sultan-e-alam ki hain ye kaifiyyaten
ghairat-e-jam hai har ek mai-KHwar qaisar-bagh mein
dekh kar ru-e-musaffa yar ka hairat hui
aaine hain pusht-bar-diwar qiasar-bagh mein
hai pae abr-e-bahaari ye mahall-e-abru
aae zer-e-saya-e-diwar qaisar-bagh mein
dekh kar tere ruKH-e-rangin ko ai rashk-e-bahaar
gul hue hain baghban par bar qaisar-bagh mein
jaiye waqt-e-masihai hai ai ruh-e-rawan
muntazir hai nargis-e-bimar qiasar-bagh mein
tujh se aur gul se hui bahs-e-jamal ai ghuncha-lab
mujh se bulbul se hui takrar qaisar-bagh mein
nikhat-e-gul se 'saba' hum mast rahte hain mudam
baada-e-gul-gun nahin darkar qiasar-bagh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.