allah ai buto hamein dikhlae lucknow
Interesting Fact
This ghazal of Wajid Ali Shah dates back to the time of Calcutta when he was brought from Lucknow to Calcutta, Matia Burj. In this ghazal, Lucknow, its beauty and its scenery are vividly remembered.
allāh ai buto hameñ dikhlā.e lucknow
sote meñ bhī ye kahte haiñ ham haa.e lucknow
aisā huā huuñ hijr meñ us ke nahīf-o-zār
dekhe agar mujhe vahīñ sharmā.e lucknow
aa.e na mere paas to maiñ aap hī chalūñ
mujh ko ḳhudā kare kahīñ bulvā.e lucknow
kalkatta ke hasīnoñ ko jab dekh letā huuñ
us vaqt dil meñ hotā hai saudā-e-lucknow
ab luT gayā hai kyā rahā dozaḳh se baḌh ke hai
rashk-e-bahisht kahte the sab jā-e-lucknow
ḳhush-chashmī āhuoñ kī vo bhūle jahān meñ
dekhe jo aañkh nargis-e-shahlā-e-lucknow
gulshan ajab bahār ke har qasr rashk-e-ḳhuld
aur gomtī ġhazab kī hai dariyā-e-lucknow
hūr-o-parī ko rashk thā ik ek shaḳhs par
be-misl the sabhī mah-e-sīmā-e-lucknow
marne ke ba.ad bhī na miTegā jigar se daaġh
jannat meñ ham ko ho.egī parvā-e-lucknow
jab se haTā hai vo tah-o-bālā ye ho gayā
jannat koī zarūr thā bālā-e-lucknow
maiñ kyā kahūñ faqīroñ ko jo kuchh ġhurūr thā
ik ik gadā-e-shahr thā dārā-e-lucknow
haTtā nahīñ tasavvur-e-asbāb-o-mulk-o-māl
kānoñ meñ baj rahī hai vo shahnā-e-lucknow
kyā kyā hasīñ the jam.a paristāñ kā taḳhta thā
nazroñ meñ phirte haiñ ruḳh-e-zebā-e-lucknow
shāhoñ pe faḳhr karte the is mulk ke gadā
thā misl-e-jām-e-jam mai-o-mīnā-e-lucknow
har-chand laakh tarah bhulātā huuñ yaad ko
'aḳhtar' pukār uThtā hai dil haa.e lucknow
allah ai buto hamein dikhlae lucknow
sote mein bhi ye kahte hain hum hae lucknow
aisa hua hun hijr mein us ke nahif-o-zar
dekhe agar mujhe wahin sharmae lucknow
aae na mere pas to main aap hi chalun
mujh ko KHuda kare kahin bulwae lucknow
kalkatta ke hasinon ko jab dekh leta hun
us waqt dil mein hota hai sauda-e-lucknow
ab luT gaya hai kya raha dozaKH se baDh ke hai
rashk-e-bahisht kahte the sab ja-e-lucknow
KHush-chashmi aahuon ki wo bhule jahan mein
dekhe jo aankh nargis-e-shahla-e-lucknow
gulshan ajab bahaar ke har qasr rashk-e-KHuld
aur gomti ghazab ki hai dariya-e-lucknow
hur-o-pari ko rashk tha ek ek shaKHs par
be-misl the sabhi mah-e-sima-e-lucknow
marne ke baad bhi na miTega jigar se dagh
jannat mein hum ko hoegi parwa-e-lucknow
jab se haTa hai wo tah-o-baala ye ho gaya
jannat koi zarur tha baala-e-lucknow
main kya kahun faqiron ko jo kuchh ghurur tha
ek ek gada-e-shahr tha dara-e-lucknow
haTta nahin tasawwur-e-asbab-o-mulk-o-mal
kanon mein baj rahi hai wo shahna-e-lucknow
kya kya hasin the jama paristan ka taKHta tha
nazron mein phirte hain ruKH-e-zeba-e-lucknow
shahon pe faKHr karte the is mulk ke gada
tha misl-e-jam-e-jam mai-o-mina-e-lucknow
har-chand lakh tarah bhulata hun yaad ko
'aKHtar' pukar uThta hai dil hae lucknow
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.