wo kahan jalwa-e-jaan-baKHsh butan-e-dehli
vo kahāñ jalva-e-jāñ-baḳhsh butān-e-dehlī
kyuuñ ki jannat pe kiyā jaa.e gumān-e-dehlī
in kā be-vaj.h nahīñ TuuT ke honā barbād
DhūñDe hai apne makīnoñ ko makān-e-dehlī
jis ke jhoñke se sabā tabla-e-attār bane
hai vo bād-e-sahar-e-itr-fishān-e-dehlī
mehr zar ḳhaak ko kartā hai ye sach hai lekin
is se kuchh baḌh ke haiñ sāhab-nazarān-e-dehlī
ā.ina-sāz sikandar hai tū jam jām-farosh
vus.at-ābād hai kis darja jahān-e-dehlī
kar ke barbād use kis ko basā.egā falak
kyā koī aur bhī hai shahr basān-e-dehlī
is liye ḳhuld meñ jaane kā har ik tālib hai
ki kuchh ik duur se paḌtā hai gumān-e-dehlī
vo sitam dekh chuke the ki rahe āsūda
fitna-o-hashr meñ āfat-zadagān-e-dehlī
samjhe haiñ sū-e-adab jannat-e-sānī kahnā
vo kuchh ashḳhās jo haiñ martaba-dān-e-dehlī
sailī-e-panja-e-jallād-e-sitam se hai hai
nazr-e-be-dād hue muntaḳhabān-e-dehlī
yā-ḳhudā hazrat-e-ġhālib ko salāmat rakhnā
ab isī naam se baaqī hai nishān-e-dehlī
karbat-e-ġhurbat-o-tanhā.ī-o-shab-hā-e-darāz
aur 'majrūh'-e-dil-afgār bayān-e-dehlī
wo kahan jalwa-e-jaan-baKHsh butan-e-dehli
kyun ki jannat pe kiya jae guman-e-dehli
in ka be-wajh nahin TuT ke hona barbaad
DhunDe hai apne makinon ko makan-e-dehli
jis ke jhonke se saba tabla-e-attar bane
hai wo baad-e-sahar-e-itr-fishan-e-dehli
mehr zar KHak ko karta hai ye sach hai lekin
is se kuchh baDh ke hain sahab-nazaran-e-dehli
aaina-saz sikandar hai tu jam jam-farosh
wusat-abaad hai kis darja jahan-e-dehli
kar ke barbaad use kis ko basaega falak
kya koi aur bhi hai shahr basan-e-dehli
is liye KHuld mein jaane ka har ek talib hai
ki kuchh ek dur se paDta hai guman-e-dehli
wo sitam dekh chuke the ki rahe aasuda
fitna-o-hashr mein aafat-zadagan-e-dehli
samjhe hain su-e-adab jannat-e-sani kahna
wo kuchh ashKHas jo hain martaba-dan-e-dehli
saili-e-panja-e-jallad-e-sitam se hai hai
nazr-e-be-dad hue muntaKHaban-e-dehli
ya-KHuda hazrat-e-ghaalib ko salamat rakhna
ab isi nam se baqi hai nishan-e-dehli
karbat-e-ghurbat-o-tanhai-o-shab-ha-e-daraaz
aur 'majruh'-e-dil-afgar bayan-e-dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.