shama mein taqat kahan jo ek parwane mein hai
sham.a meñ tāqat kahāñ jo ek parvāne meñ hai
lutf jalne meñ nahīñ jal jal ke mar jaane meñ hai
chāñdnī rātoñ meñ aksar sochtā rahtā huuñ maiñ
kis kī ye tasvīr hai jo dil ke vīrāne meñ hai
mai kī mastī to utar jaatī hai thoḌī der meñ
zindagī bhar kā nasha āñkhoñ ke paimāne meñ hai
tū kahe to āsmāñ kī dhajjiyāñ kar duuñ sanam
aaj ik aisī hī vahshat tere dīvāne meñ hai
shama mein taqat kahan jo ek parwane mein hai
lutf jalne mein nahin jal jal ke mar jaane mein hai
chandni raaton mein aksar sochta rahta hun main
kis ki ye taswir hai jo dil ke virane mein hai
mai ki masti to utar jati hai thoDi der mein
zindagi bhar ka nasha aankhon ke paimane mein hai
tu kahe to aasman ki dhajjiyan kar dun sanam
aaj ek aisi hi wahshat tere diwane mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.