pyar kiya to Darna kya jab pyar kiya to Darna kya
pyaar kiyā to Darnā kyā jab pyaar kiyā to Darnā kyā
pyaar kiyā koī chorī nahīñ kī chhup chhup aaheñ bharnā kyā
aaj kaheñge dil kā fasāna jaan bhī le le chāhe zamāna
maut vahī jo duniyā dekhe ghuT ghuT kar yuuñ marnā kyā
un kī tamannā dil meñ rahegī sham' isī mahfil meñ rahegī
'ishq meñ jiinā 'ishq meñ marnā aur hameñ ab karnā kyā
chhup na sakegā 'ishq hamārā chāroñ taraf haiñ un kā nazāra
parda nahīñ jab koī ḳhudā se bandoñ se parda karnā kyā
pyar kiya to Darna kya jab pyar kiya to Darna kya
pyar kiya koi chori nahin ki chhup chhup aahen bharna kya
aaj kahenge dil ka fasana jaan bhi le le chahe zamana
maut wahi jo duniya dekhe ghuT ghuT kar yun marna kya
un ki tamanna dil mein rahegi sham' isi mahfil mein rahegi
'ishq mein jina 'ishq mein marna aur hamein ab karna kya
chhup na sakega 'ishq hamara chaaron taraf hain un ka nazara
parda nahin jab koi KHuda se bandon se parda karna kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.