hamare baad ab mahfil mein afsane bayan honge
hamāre baa'd ab mahfil meñ afsāne bayāñ hoñge
bahāreñ ham ko DhūñDheñgī na jaane ham kahāñ hoñge
isī andāz se jhūmegā mausam gā.egī duniyā
mohabbat phir hasīñ hogī nazāre phir javāñ hoñge
na ham hoñge na tum hoge na dil hogā magar phir bhī
hazāroñ manzileñ hoñgī hazāroñ kārvāñ hoñge
hamare ba'd ab mahfil mein afsane bayan honge
bahaaren hum ko DhunDhengi na jaane hum kahan honge
isi andaz se jhumega mausam gaegi duniya
mohabbat phir hasin hogi nazare phir jawan honge
na hum honge na tum hoge na dil hoga magar phir bhi
hazaron manzilen hongi hazaron karwan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.