humse pahle to kahin pyar na tha shahr-ba-shahr
ham se pahle to kahīñ pyaar na thā shahr-ba-shahr
apne hamrāh ye sailāb gayā shahr-ba-shahr
aise badnām huiiñ apnī mahaktī ġhazleñ
jaise āvārgī-e-mauj-e-sabā shahr-ba-shahr
log kyā kyā na ga.e toḌ ke paimān-e-vafā
dil kī dhaḌkan ne magar saath diyā shahr-ba-shahr
ham ki 'ma.asūm' haiñ dehāt ke rahne vaale
DhūñDte phirte haiñ kyā jāniye kyā shahr-ba-shahr
hum se pahle to kahin pyar na tha shahr-ba-shahr
apne hamrah ye sailab gaya shahr-ba-shahr
aise badnam huin apni mahakti ghazlen
jaise aawargi-e-mauj-e-saba shahr-ba-shahr
log kya kya na gae toD ke paiman-e-wafa
dil ki dhaDkan ne magar sath diya shahr-ba-shahr
hum ki 'masum' hain dehat ke rahne wale
DhunDte phirte hain kya jaaniye kya shahr-ba-shahr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.