shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
shab-e-vasl thī chāñdnī kā samāñ thā
baġhal meñ sanam thā ḳhudā mehrbāñ thā
mubārak shab-e-qadr se bhī vo shab thī
sahar tak mah o mushtarī kā qirāñ thā
vo shab thī ki thī raushnī jis meñ din kī
zamīñ par se ik nuur tā āsmāñ thā
nikāle the do chāñd us ne muqābil
vo shab sub.h-e-jannat kā jis par gumāñ thā
urūsī kī shab kī halāvat thī hāsil
farah-nāk thī ruuh dil shādmāñ thā
mushāhid jamāl-e-parī kī thī āñkheñ
makān-e-visāl ik tilismī makāñ thā
huzūrī nigāhoñ ko dīdār se thī
khulā thā vo parda ki jo darmiyāñ thā
kiyā thā use bosa-bāzī ne paidā
kamar kī tarah se jo ġhā.eb dahāñ thā
haqīqat dikhātā thā ishq-e-majāzī
nihāñ jis ko samjhe hue the ayaañ thā
bayāñ ḳhvāb kī tarah jo kar rahā hai
ye qissa hai jab kā ki 'ātish' javāñ thā
shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
baghal mein sanam tha KHuda mehrban tha
mubarak shab-e-qadr se bhi wo shab thi
sahar tak mah o mushtari ka qiran tha
wo shab thi ki thi raushni jis mein din ki
zamin par se ek nur ta aasman tha
nikale the do chand us ne muqabil
wo shab subh-e-jannat ka jis par guman tha
urusi ki shab ki halawat thi hasil
farah-nak thi ruh dil shadman tha
mushahid jamal-e-pari ki thi aankhen
makan-e-visal ek tilismi makan tha
huzuri nigahon ko didar se thi
khula tha wo parda ki jo darmiyan tha
kiya tha use bosa-bazi ne paida
kamar ki tarah se jo ghaeb dahan tha
haqiqat dikhata tha ishq-e-majazi
nihan jis ko samjhe hue the ayan tha
bayan KHwab ki tarah jo kar raha hai
ye qissa hai jab ka ki 'atish' jawan tha
- Book : Rekhta Ke Atish (Pg. 21)
- Author : Khwaja Haider Ali Aatish
- Publication : Rekhta Publications
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.