de uThi lau jo tere sath guzari hui sham
de uThī lau jo tire saath guzārī huī shaam
hujra-e-jāñ kī har ik chiiz pe taarī huī shaam
umr bhar dhuup lapeTe rahe apne tan par
ham se pahnī na ga.ī us kī utārī huī shaam
pahle to mujh se mirī zaat kā matlab pūchhā
aur phir apne hī ehsās se aarī huī shaam
ai junūñ pūchh isī lamha-e-maujūd se pūchh
lams ye kis kā uThāyā hai ki bhārī huī shaam
do hī kirdār numāyāñ haiñ kahānī meñ mirī
be-karāñ dasht huā maiñ to shikārī huī shaam
is taraf dasht-e-badan meñ koī sūraj Duubā
us taraf sīna-e-aflāk se jaarī huī shaam
maiñ naseñ kaaT ke sūraj meñ utar hī jaatā
par ḳhayāl aaya tirā hijr kī maarī huī shaam
kyā faqat ham se savālāt kiye jā.eñge
kyā faqat ham se muḳhātib hai ye haarī huī shaam
ham ne har shai meñ utarte hue dekhā ḳhud ko
yaad aa.ī jo tire qurb pe vaarī huī shaam
de uThi lau jo tere sath guzari hui sham
hujra-e-jaan ki har ek chiz pe tari hui sham
umr bhar dhup lapeTe rahe apne tan par
hum se pahni na gai us ki utari hui sham
pahle to mujh se meri zat ka matlab puchha
aur phir apne hi ehsas se aari hui sham
ai junun puchh isi lamha-e-maujud se puchh
lams ye kis ka uThaya hai ki bhaari hui sham
do hi kirdar numayan hain kahani mein meri
be-karan dasht hua main to shikari hui sham
is taraf dasht-e-badan mein koi suraj Duba
us taraf sina-e-aflak se jari hui sham
main nasen kaT ke suraj mein utar hi jata
par KHayal aaya tera hijr ki mari hui sham
kya faqat hum se sawalat kiye jaenge
kya faqat hum se muKHatib hai ye haari hui sham
hum ne har shai mein utarte hue dekha KHud ko
yaad aai jo tere qurb pe wari hui sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.