Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mulk-e-suKHan mein dard ki daulat ko kya hua

Iftikhar Arif

mulk-e-suKHan mein dard ki daulat ko kya hua

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    mulk-e-suḳhan meñ dard daulat ko kyā huā

    ai shahr-e-'mīr' terī rivāyat ko kyā huā

    ham to sadā ke banda-e-zar the hamārā kyā

    nām-āvarān-e-ahd-e-baġhāvat ko kyā huā

    gard-o-ġhubār-e-kūcha-e-shohrat meñ aa ke dekh

    āsūdagān-e-kunj-e-qanā.at ko kyā huā

    ghar se nikal ke bhī vahī taaza havā ḳhauf

    mīsāq-e-hijr terī bashārat ko kyā huā

    mulk-e-suKHan mein dard ki daulat ko kya hua

    ai shahr-e-'mir' teri riwayat ko kya hua

    hum to sada ke banda-e-zar the hamara kya

    nam-awaran-e-ahd-e-baghawat ko kya hua

    gard-o-ghubar-e-kucha-e-shohrat mein aa ke dekh

    aasudagan-e-kunj-e-qanaat ko kya hua

    ghar se nikal ke bhi wahi taza hawa ka KHauf

    misaq-e-hijr teri bashaarat ko kya hua

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    mulk-e-suKHan mein dard ki daulat ko kya hua Iftikhar Arif

    Source :
    • Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 180)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now