ek hunar tha kamal tha kya tha
ik hunar thā kamāl thā kyā thā
mujh meñ terā jamāl thā kyā thā
tere jaane pe ab ke kuchh na kahā
dil meñ Dar thā malāl thā kyā thā
barq ne mujh ko kar diyā raushan
terā aks-e-jalāl thā kyā thā
ham tak aayā tū bahr-e-lutf-o-karam
terā vaqt-e-zavāl thā kyā thā
jis ne tah se mujhe uchhāl diyā
Dūbne kā ḳhayāl thā kyā thā
jis pe dil saare ahd bhuul gayā
bhūlne kā savāl thā kyā thā
titliyāñ the ham aur qazā ke paas
surḳh phūloñ kā jaal thā kyā thā
ek hunar tha kamal tha kya tha
mujh mein tera jamal tha kya tha
tere jaane pe ab ke kuchh na kaha
dil mein Dar tha malal tha kya tha
barq ne mujh ko kar diya raushan
tera aks-e-jalal tha kya tha
hum tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam
tera waqt-e-zawal tha kya tha
jis ne tah se mujhe uchhaal diya
Dubne ka KHayal tha kya tha
jis pe dil sare ahd bhul gaya
bhulne ka sawal tha kya tha
titliyan the hum aur qaza ke pas
surKH phulon ka jal tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.