gungon ko zaban kis ne di hai
gūñgoñ ko zabān kis ne dī hai
āḳhir ye azaan kis ne dī hai
rakkhā hai ravā ye zulm kis ne
zālim ko amaan kis ne dī hai
phūloñ ko asiir kis ne rakkhā
ḳhushiyoñ ko uḌaan kis ne dī hai
manshūr-e-havā likhā hai kis ne
miTTī ko uThān kis ne dī hai
is dasht meñ jiit kis kī Thahrī
is jañg meñ jaan kis ne dī hai
maqrūz huī haiñ merī āñkheñ
ḳhvāboñ ko takān kis ne dī hai
gungon ko zaban kis ne di hai
aaKHir ye azan kis ne di hai
rakkha hai rawa ye zulm kis ne
zalim ko aman kis ne di hai
phulon ko asir kis ne rakkha
KHushiyon ko uDan kis ne di hai
manshur-e-hawa likha hai kis ne
miTTi ko uThan kis ne di hai
is dasht mein jit kis ki Thahri
is jang mein jaan kis ne di hai
maqruz hui hain meri aankhen
KHwabon ko takan kis ne di hai
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 64)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.