bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain
bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
batā.eñ tum se kyā ham āshiq-e-bīmār kis ke haiñ
hamāre dīda-e-tar tālib-e-dīdār kis ke haiñ
na kyuuñ ham-shakl-e-bulbul mad.h meñ naġhma-sarā huuñ maiñ
tumhīñ mujh ko batā do phuul se ruḳhsār kis ke haiñ
koī be-ḳhud koī bā-ḳhud hue terī mohabbat meñ
jo haiñ ġhāfil vo kis ke haiñ jo haiñ hushyār kis ke haiñ
uThā kar haath meñ tasbīh mujh se dil ye kahtā hai
brahman kis ke haiñ ham sāhib-e-zunnār kis ke haiñ
na kyuuñ bahr-e-shahādat sar jhukā.eñ shauq se 'āshiq
basān-e-teġh kahiye abrū-e-ḳhamdār kis ke haiñ
kahā ye tā.ir-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-ḳham meñ
phañsāyā kis ne mujh ko aur ye kirdār kis ke haiñ
nahīñ mā'lūm zaḳhmī ho gayā hai kaun shaidā.ī
gul-e-tāza 'jamīla' zaḳhm-e-dāman-dār kis ke haiñ
bataen tum se kya hum aashiq-e-bimar kis ke hain
hamare dida-e-tar talib-e-didar kis ke hain
na kyun ham-shakl-e-bulbul madh mein naghma-sara hun main
tumhin mujh ko bata do phul se ruKHsar kis ke hain
koi be-KHud koi ba-KHud hue teri mohabbat mein
jo hain ghafil wo kis ke hain jo hain hushyar kis ke hain
uTha kar hath mein tasbih mujh se dil ye kahta hai
brahman kis ke hain hum sahib-e-zunnar kis ke hain
na kyun bahr-e-shahadat sar jhukaen shauq se 'ashiq
basan-e-tegh kahiye abru-e-KHamdar kis ke hain
kaha ye tair-e-dil ne ulajh kar zulf-e-pur-KHam mein
phansaya kis ne mujh ko aur ye kirdar kis ke hain
nahin ma'lum zaKHmi ho gaya hai kaun shaidai
gul-e-taza 'jamila' zaKHm-e-daman-dar kis ke hain
- Book : Diwan-e-jamila (Pg. 124)
- Author : Jamila Khuda Bakhsh
- Publication : Khuda Bakhsh Oriental Public Library, Patna (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.