saut kya shai hai KHamushi kya hai
saut kyā shai hai ḳhāmushī kyā hai
ġham kise kahte haiñ ḳhushī kyā hai
aaj huuñ kal yahāñ nahīñ hūñgā
mujh se jānāñ ye be-ruḳhī kyā hai
des pardes ho gayā ab to
āshnā kaun ajnabī kyā hai
zindagī tere vasl kī ḳhvāhish
mil gayā tū to zindagī kyā hai
aur gar tū bichhaḌ gayā mujh se
phir mirī jaan maut bhī kyā hai
ek pal bhī sukūñ nahīñ miltā
tujh se mil kar ye be-kalī kyā hai
tarz-e-mausam pe baat chal niklī
varna maazī kā zikr hī kyā hai
dostī jo nibhā nahīñ sakte
un se 'shahzād' dushmanī kyā hai
saut kya shai hai KHamushi kya hai
gham kise kahte hain KHushi kya hai
aaj hun kal yahan nahin hunga
mujh se jaanan ye be-ruKHi kya hai
des pardes ho gaya ab to
aashna kaun ajnabi kya hai
zindagi tere wasl ki KHwahish
mil gaya tu to zindagi kya hai
aur gar tu bichhaD gaya mujh se
phir meri jaan maut bhi kya hai
ek pal bhi sukun nahin milta
tujh se mil kar ye be-kali kya hai
tarz-e-mausam pe baat chal nikli
warna mazi ka zikr hi kya hai
dosti jo nibha nahin sakte
un se 'shahzad' dushmani kya hai
- Book : Aaina Jhuta hai (Pg. 119)
- Author : Farhat Shahzad
- Publication : Al-hamd Publication (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.