sarsabz dil ki koi bhi KHwahish nahin hui
sarsabz dil kī koī bhī ḳhvāhish nahīñ huī
vo hai zamīn-e-dil jahāñ bārish nahīñ huī
ro.e hue bhī un ko ka.ī saal ho ga.e
āñkhoñ meñ āñsuoñ kī numā.ish nahīñ huī
dīvār-o-dar haiñ paas magar in ke bāvajūd
apne hī ghar meñ apnī rihā.ish nahīñ huī
bāb-e-suḳhan meñ ab vahī mash.hūr ho ga.e
vo jin ke zehn se koī kāvish nahīñ huī
sarsabz dil ki koi bhi KHwahish nahin hui
wo hai zamin-e-dil jahan barish nahin hui
roe hue bhi un ko kai sal ho gae
aankhon mein aansuon ki numaish nahin hui
diwar-o-dar hain pas magar in ke bawajud
apne hi ghar mein apni rihaish nahin hui
bab-e-suKHan mein ab wahi mashhur ho gae
wo jin ke zehn se koi kawish nahin hui
- Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 241)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.