sardi mein din sard mila
sardī meñ din sard milā
har mausam bedard milā
ūñche lambe peḌoñ kā
patta patta zard milā
sochte haiñ kyuuñ zinda haiñ
achchhā ye sar-dard milā
ham ro.e to baat bhī thī
kyuuñ rotā har fard milā
milā hameñ bas ek ḳhudā
aur vo bhī bedard milā
'alvī' ḳhvāhish bhī thī bāñjh
jazba bhī nā-mard milā
sardi mein din sard mila
har mausam bedard mila
unche lambe peDon ka
patta patta zard mila
sochte hain kyun zinda hain
achchha ye sar-dard mila
hum roe to baat bhi thi
kyun rota har fard mila
mila hamein bas ek KHuda
aur wo bhi bedard mila
'alwi' KHwahish bhi thi banjh
jazba bhi na-mard mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.