samay se pahle bhale sham-e-zindagi aae
samay se pahle bhale shām-e-zindagī aa.e
kisī tarah bhī udāsī kā ghaav bhar jaa.e
ham ab udaas nahīñ sar-ba-sar udāsī haiñ
hameñ charāġh nahīñ raushnī kahā jaa.e
jo sher samjhe mujhe dād-vād detā rahe
gale lagā.e jise ġham samajh meñ aa jaa.e
ga.e dinoñ meñ koī shauq thā mohabbat kā
ab is azaab meñ ye zehn kaun uljhā.e
kisī ke hañsne se raushan huī thī bād-e-sabā
koī udaas huā to gulāb murjhā.e
ye ek dukh hī dabā rah gayā hai āñkhoñ meñ
vo ek misrā jise sher kar nahīñ paa.e
agar huuñ ġhusse meñ phir bhī maiñ chāhtā ye huuñ
maiñ sirf hijr kahūñ aur phone kaT jaa.e
samay se pahle bhale sham-e-zindagi aae
kisi tarah bhi udasi ka ghaw bhar jae
hum ab udas nahin sar-ba-sar udasi hain
hamein charagh nahin raushni kaha jae
jo sher samjhe mujhe dad-wad deta rahe
gale lagae jise gham samajh mein aa jae
gae dinon mein koi shauq tha mohabbat ka
ab is azab mein ye zehn kaun uljhae
kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-saba
koi udas hua to gulab murjhae
ye ek dukh hi daba rah gaya hai aankhon mein
wo ek misra jise sher kar nahin pae
agar hun ghusse mein phir bhi main chahta ye hun
main sirf hijr kahun aur phone kaT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.