samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun
samajh rahā hai zamāna riyā ke pīchhe huuñ
maiñ ek aur tarah se ḳhudā ke pīchhe huuñ
kahīñ kahīñ se ziyāda siyah hai merā badan
bahut hī kaalī hai jo is havā ke pīchhe huuñ
ye aa rahī hai kahāñ se samajh nahīñ aatī
bahut hī bhed bharī ik sadā ke pīchhe huuñ
tirī banā.ī huī fard-e-jurm kahtī hai
ki jaise maiñ hī yahāñ har ḳhatā ke pīchhe huuñ
zarā sā dekh luuñ phir puurā khīñch lūñgā use
azal se hī maiñ kisī kam-numā ke pīchhe huuñ
hai kuchh ġhalat sā mirī hī sarisht meñ 'shāhīñ'
maiñ ḳhud hī apnī har ik ibtilā ke pīchhe huuñ
samajh raha hai zamana riya ke pichhe hun
main ek aur tarah se KHuda ke pichhe hun
kahin kahin se ziyaada siyah hai mera badan
bahut hi kali hai jo is hawa ke pichhe hun
ye aa rahi hai kahan se samajh nahin aati
bahut hi bhed bhari ek sada ke pichhe hun
teri banai hui fard-e-jurm kahti hai
ki jaise main hi yahan har KHata ke pichhe hun
zara sa dekh lun phir pura khinch lunga use
azal se hi main kisi kam-numa ke pichhe hun
hai kuchh ghalat sa meri hi sarisht mein 'shahin'
main KHud hi apni har ek ibtila ke pichhe hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.