salim dil ko mayassar sakun zara na hua
'salīm' dil ko mayassar sakūñ zarā na huā
agarche tark-e-mohabbat ko ik zamāna huā
vo be-ḳhudī thī mohabbat kī be-ruḳhī to na thī
pe us ko tark-e-ta.alluq ko ik bahāna huā
usī se daad kā tālib huuñ rū-ba-rū jis ke
bayān-e-dard-e-mohabbat bhī ik fasāna huā
vo chob-e-ḳhushk huuñ mahrūm-e-ātish-e-sozāñ
ki bin jalā.e jise qāfila ravāna huā
nashāt-e-dard meñ fursat kahāñ ki ġhaur kareñ
'salīm' kyā huā ulfat meñ aur kyā na huā
'salim' dil ko mayassar sakun zara na hua
agarche tark-e-mohabbat ko ek zamana hua
wo be-KHudi thi mohabbat ki be-ruKHi to na thi
pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua
usi se dad ka talib hun ru-ba-ru jis ke
bayan-e-dard-e-mohabbat bhi ek fasana hua
wo chob-e-KHushk hun mahrum-e-atish-e-sozan
ki bin jalae jise qafila rawana hua
nashat-e-dard mein fursat kahan ki ghaur karen
'salim' kya hua ulfat mein aur kya na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.