sail-e-girya ka sine se rishta bahut
sail-e-girya kā siine se rishta bahut
ya.anī haiñ is ḳharābe meñ dariyā bahut
maiñ ne us naam se shaam rañgīn kī
maiñ ne us ke havāle se sochā bahut
dekhne ke liye saarā aalam bhī kam
chāhne ke liye ek chehrā bahut
is se aage to bas ḳhvāb hī ḳhvāb the
maiñ ne us ko mujhe us ne dekhā bahut
maiñ bhī uljhā huuñ manzar ke nairañg se
mere pairoñ se lipTī hai duniyā bahut
raftagāñ ke qadam jaise aahū kā ram
jaane vāloñ ko rastoñ ne rokā bahut
jañg-jū ma.arakoñ meñ hue surḳh-rū
bastiyāñ bain kartī haiñ tanhā bahut
sail-e-girya ka sine se rishta bahut
yani hain is KHarabe mein dariya bahut
main ne us nam se sham rangin ki
main ne us ke hawale se socha bahut
dekhne ke liye sara aalam bhi kam
chahne ke liye ek chehra bahut
is se aage to bas KHwab hi KHwab the
main ne us ko mujhe us ne dekha bahut
main bhi uljha hun manzar ke nairang se
mere pairon se lipTi hai duniya bahut
raftagan ke qadam jaise aahu ka ram
jaane walon ko raston ne roka bahut
jang-ju marakon mein hue surKH-ru
bastiyan bain karti hain tanha bahut
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 31.01.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.