raushni kuchh to mile jangal mein
raushnī kuchh to mile jangal meñ
aag lag jaa.e ghane jangal meñ
aap ko shahr meñ Dar lagtā hai
ham to be-ḳhauf rahe jangal meñ
ek ik shāḳh zabāñ ho jaa.e
koī āvāz to de jangal meñ
peḌ se peḌ lagā rahtā hai
pyaar hotā hai bhare jangal meñ
shahr meñ kaan taraste hī rahe
chahchahe ham ne sune jangal meñ
shaam hote hī utar aate haiñ
shoḳh pariyoñ ke pare jangal meñ
shoḳh hirnoñ ne qulāñcheñ mārīñ
mor ke raqs hue jangal meñ
ab bhī qadmoñ ke nishāñ milte haiñ
gaañv se duur pare jangal meñ
ab bhī phirtī hai koī parchhā.īñ
raat ke vaqt bhare jangal meñ
ḳhuub the hazrat-e-ādam 'alvī'
bastiyāñ chhoḌ ga.e jangal meñ
raushni kuchh to mile jangal mein
aag lag jae ghane jangal mein
aap ko shahr mein Dar lagta hai
hum to be-KHauf rahe jangal mein
ek ek shaKH zaban ho jae
koi aawaz to de jangal mein
peD se peD laga rahta hai
pyar hota hai bhare jangal mein
shahr mein kan taraste hi rahe
chahchahe hum ne sune jangal mein
sham hote hi utar aate hain
shoKH pariyon ke pare jangal mein
shoKH hirnon ne qulanchen marin
mor ke raqs hue jangal mein
ab bhi qadmon ke nishan milte hain
ganw se dur pare jangal mein
ab bhi phirti hai koi parchhain
raat ke waqt bhare jangal mein
KHub the hazrat-e-adam 'alwi'
bastiyan chhoD gae jangal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.