phul milenge Khaar nahin
phuul mileñge ḳhaar nahīñ
hogā ye har baar nahīñ
us par bhī chalnā sīkho
jo rasta hamvār nahīñ
kashtī TuuTī muddat se
hāthoñ meñ patvār nahīñ
kaise manzil par pahuñcheñ
qadmoñ meñ raftār nahīñ
sūrat achchhī hai un kī
achchhā hai kirdār nahīñ
matlab se milne vaale
jo bhī haiñ par yaar nahīñ
phul milenge KHar nahin
hoga ye har bar nahin
us par bhi chalna sikho
jo rasta hamwar nahin
kashti TuTi muddat se
hathon mein patwar nahin
kaise manzil par pahunchen
qadmon mein raftar nahin
surat achchhi hai un ki
achchha hai kirdar nahin
matlab se milne wale
jo bhi hain par yar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.