saDkon par suraj utra
saḌkoñ par sūraj utrā
saaya saaya TuuT gayā
jab gul kā siina chīrā
ḳhushbū kā kāñTā niklā
tū kis ke kamre meñ thī
maiñ tere kamre meñ thā
khiḌkī ne āñkheñ kholī
darvāze kā dil dhaḌkā
dil kī andhī ḳhandaq meñ
ḳhvāhish kā taarā TuuTā
jism ke kaale jañgal meñ
lazzat kā chītā lapkā
phir bāloñ meñ raat huī
phir hāthoñ meñ chāñd khilā
saDkon par suraj utra
saya saya TuT gaya
jab gul ka sina chira
KHushbu ka kanTa nikla
tu kis ke kamre mein thi
main tere kamre mein tha
khiDki ne aankhen kholi
darwaze ka dil dhaDka
dil ki andhi KHandaq mein
KHwahish ka tara TuTa
jism ke kale jangal mein
lazzat ka chita lapka
phir baalon mein raat hui
phir hathon mein chand khila
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 217)
- Author : adil mansuri
- Publication : shabkhoon kitab ghar 313 Rani mandi allahabad (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.