samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain
samundar meñ utartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tirī āñkhoñ ko paḌhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tumhārā naam likhne kī ijāzat chhin ga.ī jab se
koī bhī lafz likhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tirī yādoñ kī ḳhushbū khiḌkiyoñ meñ raqs kartī hai
tire ġham meñ sulagtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
na jaane ho gayā huuñ is qadar hassās maiñ kab se
kisī se baat kartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
maiñ saarā din bahut masrūf rahtā huuñ magar jūñhī
qadam chaukhaT pe rakhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
har ik muflis ke māthe par alam kī dāstāneñ haiñ
koī chehra bhī paḌhtā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
baḌe logoñ ke ūñche bad-numā aur sard mahloñ ko
ġharīb āñkhoñ se taktā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
tire kūche se ab merā ta.alluq vājibī sā hai
magar jab bhī guzartā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
hazāroñ mausamoñ kī hukmarānī hai mire dil par
'vasī' maiñ jab bhī hañstā huuñ to āñkheñ bhiig jaatī haiñ
samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain
teri aankhon ko paDhta hun to aankhen bhig jati hain
tumhaara nam likhne ki ijazat chhin gai jab se
koi bhi lafz likhta hun to aankhen bhig jati hain
teri yaadon ki KHushbu khiDkiyon mein raqs karti hai
tere gham mein sulagta hun to aankhen bhig jati hain
na jaane ho gaya hun is qadar hassas main kab se
kisi se baat karta hun to aankhen bhig jati hain
main sara din bahut masruf rahta hun magar junhi
qadam chaukhaT pe rakhta hun to aankhen bhig jati hain
har ek muflis ke mathe par alam ki dastanen hain
koi chehra bhi paDhta hun to aankhen bhig jati hain
baDe logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko
gharib aankhon se takta hun to aankhen bhig jati hain
tere kuche se ab mera talluq wajibi sa hai
magar jab bhi guzarta hun to aankhen bhig jati hain
hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par
'wasi' main jab bhi hansta hun to aankhen bhig jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.